Monday, 12 March 2012

SITAMGAR

SITAMGAR

Kuchh yaadgaren- shahar- sitamgar hee chalen
Aaye hain ies gali mein to patthar hee le chalen

Yun kis tarah katega kadi dhoop ka safar
sar par khayale-yaar ki chadar hee le chalen

Ranje-safar ki koi nishaani to paas ho
thodi si khak-e-kuchaa-e-dilbar hee le chalen

Ye kah kar chhedati hein humen dilgirftagi
ghabraa gaye hain to bahar hee chalen

Ies shahar-bechaaraag mein jaayegi tu kahaan
aa e shabe-firaq tujhe ghar hee le chalen
_ Nasir Kazmee

Meaning : Ranj = Dukh, Grief; kuchaa-e-dilbar = Premika ki gali, lane/street of beloved/girl friend; shabe-firaq = Bichhudane ki raat, Night of departure

No comments:

Post a Comment